jaane kya chehre ki ab haalat hui

jaane kya chehre ki ab haalat hui
aaina dekhe hue muddat hui

aansuon tak dil ne pahuncha di khabar
raazdari bais-e-shohrat hui

kar liye raushan wahin dil ke charagh
rah mein hail jahan zulmat hui

jam ka kya zikr tute saz tak
ek faqih-e-shahr se hujjat hui

yaad ne har zakhm taza kar diya
khud khalish apni jagah lazzat hui

hum rahe bedar un ki yaad mein
un ko apne khwab se nisbat hui

puchhta tha kaun tere shahr mein
panw ki zanjir se izzat hui

dekh kar un ki nawazish be-karan
aaj 'saib' arz ki himmat hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close