jaane kya kya main haar baitha hun kho ke apna waqar baitha hun milne aaenge aaj wo mujh se is liye be-qarar baitha hun biphri maujen hain phir bhi main yaro kar ke dariya ko par baitha hun note-bandi ne aisa mara hai sari daulat main haar baitha hun aaj tak achchhe din nahin aae phir bhi dil tujh pe war baitha hun tu hasin hai to kya hua jaanan main bhi surat nikhaar baitha hun tujh se milne ki aarzu hai tabhi rah mein mere yar baitha hun taki mail ho tu bhi meri taraf le ke main dil mein pyar baitha hun main bhi teri hasin nigahon ka ho ke hamdam shikar baitha hun main hun 'sajid' sunaoge kya kya sun ke baaten hazar baitha hun