jaanti hun ki wo khafa bhi nahin dil kisi taur manta bhi nahin kya wafa o jafa ki baat karen darmiyan ab to kuchh raha bhi nahin dard wo bhi saha hai tere liye meri qismat mein jo likha bhi nahin har tamanna sarab banti rahi in sarabon ki intiha bhi nahin han charaghan ki kaifiyat thi kabhi ab to palkon pe ek diya bhi nahin dil ko ab tak yaqin aa na saka yun nahin hai ki wo mila bhi nahin waqt itna guzar chuka hai 'hina' jaane wale se ab gila bhi nahin