jab aasman par mah-o-akhtar palat kar aae hum rukh pe din ki dhup liye ghar palat kar aae nazzara jin ka bais-e-rahm-e-nigah tha aankhon ke samne wahi manzar palat kar aae har ghar sulag raha tha ajab sard aag mein jab arsa-gah-e-jang se lashkar palat kar aae sad-rashk-e-iltifat tha jab us ka jaur bhi ji kyun na chahe phir wo sitamgar palat kar aae jo baat guftani thi wahi an-kahi rahi be-ras jo tazkire the zaban par palat kar aae duniya se ho gae na hon aazurda-dil kahin phir is zamin par na payambar palat kar aae ye baat agar hai sach ki palatta nahin hai waqt lamhat-e-gham mere liye kyun kar palat kar aae kahte hain us ne dekhi thi kal ek jal-pari har lab pe hai dua ki shanawar palat kar aae ai 'abid' aasman pe na kuchh bhi asar hua mujh par hi meri aah ke patthar palat kar aae