jab bhi kashti ke muqabil bhanwar aata hai koi

jab bhi kashti ke muqabil bhanwar aata hai koi
jagmagata sar-e-sahil nazar aata hai koi

be-rukhi us ki dilati hai jahan ka ehsas
liye duniya ki khabar be-khabar aata hai koi

shiddat-e-yas mein chupke se ujalon ki tarah
mere tarik khayalon mein dar aata hai koi

tan-e-tanha to safar dil pe giran guzrega
muntazir hun ki mere sath agar aata hai koi

dub jata hai judai ki shafaq mein din ko
ufuq-e-khwab se shab ko ubhar aata hai koi

ashk pita hun main tiryaq samajh kar jis waqt
zahr ban kar rag-e-jaan mein utar aata hai koi

hijr saman hai rawan su-e-shab-e-wasl 'shahab'
dhup odhe hue zer-e-shajar aata hai koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close