jab bhi mere aansu bahte hain aur tera daman jalta hai

jab bhi mere aansu bahte hain aur tera daman jalta hai
dekh ke apna husn-e-talluq har ahl-e-gulshan jalta hai

raaz na puchho mustaqbil ka sher-o-sukhan ki is mahfil ka
sahab-e-fan zulmat mein pade hain dur charagh-e-fan jalta hai

fasl-e-bahaaran aa jaane se kam na hua gham ahl-e-chaman ka
shabnam ke aansu bahte hain gul ka pairahan jalta hai

jalne ko to sab jalte hain aag juda hai apni apni
hum jalte hain tum jalte ho ek ek ahl-e-chaman jalta hai

koi nahin gham-khwar jahan mein 'yaad' hamari tanhai ka
apne hi aansu bahte hain apna hi daman jalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close