jab diya KHamosh tha aur raushni hoti na thi

jab diya khamosh tha aur raushni hoti na thi
raat kya aati thi goya zindagi hoti na thi

jin dinon logon ki aankhen khwahishon se dur thin
un dinon is shahr ki ye dilkashi hoti na thi

apni apni raghbaton par jab talak tha ikhtiyar
tere mere darmiyan ye bebasi hoti na thi

un dinon ki baat hai jab hum the mitti se jude
be-kali madum thi aur be-dili hoti na thi

dekhte hi dekhte manzar badal kar rah gaya
ye gali suni thi jab tak aap ki hoti na thi

apne apne din the sab ke apni apni raat thi
koi bhi shai jab nazar mein markazi hoti na thi

jab dar-o-diwar aae to uthi diwar bhi
ghar nahin tha to hamari be-ghari hoti na thi

ishq ne jab tak junun ka rasta dekha na tha
zindagi be-kaif thi tisha-gari hoti na thi

is zamin ka khali-pan tha aur hawa ka shor tha
un dinon ki baat hai jab shairi hoti na thi

jis ki shadabi hamein le aai hai 'shahid' yahan
us jazire par kabhi kya zindagi hoti na thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close