jab ek KHauf sa marne ka sar pe baiTh gaya

jab ek khauf sa marne ka sar pe baith gaya
ajib saya nahusat ka ghar pe baith gaya

yahi kahani thi bas apni baadshahat ki
faqir ek utha ek dar pe baith gaya

kahin to shahr mein an-ban kisi ke sath hui
jo duniya chhod ke sari wo ghar pe baith gaya

takallufat mein kuchh to lihaz baqi tha
zara si dhil bhi kya di wo sar pe baith gaya

kisi ki jhuti udai hui si baat suni
zamana kan laga kar khabar pe baith gaya

sawar hum hue aise hawa ke kandhe par
hamara panw bhi jaise safar pe baith gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close