jab har nazar ho KHud hi tajalli-numa-e-gham

jab har nazar ho khud hi tajalli-numa-e-gham
phir aadmi chhupae to kaise chhupae gham

us waqt tak mili na mujhe lazzat-e-hayat
jab tak raha zamane mein na-ashna-e-gham

meri nigah-e-shauq hi gham ka sabab nahin
un ki nigah-e-naz bhi hai rahnuma-e-gham

sauda-e-ishq dard-e-mohabbat jafa-e-dost
hum ne khushi ke waste kya kya uthae gham

shayad ye hai karishma fareb-e-nashat ka
ghabra ke aa gai hai labon par dua-e-gham

'farhat' ki har hansi mein hain aansu chhupe hue
us ki khushi bhi odhe hue hai rida-e-gham


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close