jab kaha tir teri aankh ne akasr mara

jab kaha tir teri aankh ne akasr mara
chitwanen pher ke bole ki barabar mara

qadr kuchh bhi mere dil ki but-e-kafir ne na ki
zulf-e-pechan se jo uljha to mere sar mara

jaan be-maut khuda bhi nahin leta lekin
tu ne be-maut hi logon ko sitamgar mara

chand zarre meri mitti ke faqat hath aae
dasht-e-ghurbat ke bagulon ne jo chakkar mara

ek musalman ka dil tod diya kya kahna
apne nazdik bada aap ne kafar mara

'muztar' aisa koi ab tak na ho aur na ho
maut ne hae abas dagh-e-sukhnawar mara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close