jab KHuda ko jahan basana tha

jab khuda ko jahan basana tha
tujh ko aisa nahin banana tha

mere ghar tera aana jaana tha
wo bhi ai yar kya zamana tha

phir gae aap mere kuche se
do qadam par gharib-khana tha

jo na samjhe ki aashiqi kya hai
us se be-kar dil lagana tha

aae the bakht aazmane hum
aap ko tegh aazmana tha

ai sitamgar qabr-e-ashiq par
chand aansu tujhe bahana tha

tu ne rahne diya pas-e-diwar
warna apna kahan thikana tha

ab jahan par hai shaikh ki masjid
pahle us ja sharab-khana tha

dakhl ahl-e-riya na rakhte the
pak-bazon ka aana jaana tha

bazm mein ghair ko na bulwate
aap ko jab hamein bulana tha

wo chaman ab khizan-rasida hai
bulbulon ka jahan tarana tha

sunte hain wo shajar bhi sukh gaya
jis pe sayyaad aashiyana tha

dil na dete use to kya karte
ai 'asar' dukh hamein uthana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close