jab ki nazar talash fareb-e-nazar mila

jab ki nazar talash fareb-e-nazar mila
dad-e-hunar ke nam pe zakhm-e-hunar mila

khud apne sar pe apni saliben utha chalo
aawargan-e-shahr ko kar-e-digar mila

inam qad ki nash-o-numa se mukar gaya
dastar to mili hai magar kis ko sar mila

tum mil sake na tark-e-talluq ke baad phir
yaadon ka ek hujum mujhe umr bhar mila

mere dil-e-tabah ne sau sau jatan kiye
jo nuskha-wafa bhi mila be-asar mila

tum jis qadar ghurur se nashsha-ba-sar mile
han itne hi khulus se main sar-ba-sar mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close