jab koi rasta nahin hota kaun mahw-e-dua nahin hota log zulmat se yun hi nalan hain roz-e-raushan mein kya nahin hota tute taron ko chhu ke dekha hai saz-e-dil be-sada nahin hota har khushi dil se kyun laga baithen kis mein gham ho pata nahin hota aao mil baith lo ghadi-do-ghadi us ghadi ka pata nahin hota sard-mehri hamari aadat hai warna zarre mein kya nahin hota phir wahi shab wahi tawil safar khatm ye silsila nahin hota