ab guman hai na yaqin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin aasman kuchh bhi nahin aur zamin kuchh bhi nahin mit gaya dil se aqidat ka bharam yani ab us ka dar kuchh bhi nahin apni jabin kuchh bhi nahin kyon na yak-rangi-e-haalat se ji uktae ab koi bazm-e-tarab daur-e-hazin kuchh bhi nahin ab to har husn-o-nazar rang-o-mahak saz-o-sukhan lakh achchhe hon magar khud se hasin kuchh bhi nahin jaane kis taur hai taqsim-e-karam allah ka hai kahin kitna hi kuchh aur kahin kuchh bhi nahin aas bandhti hai zara der use takne mein kaun kahta hai sar-e-arsh-e-barin kuchh bhi nahin aa hi jaenge tah-e-dam-e-ajal sab ek din ho bhale takht-nashin khak-nashin kuchh bhi nahin kitna pur-shor tha anfas ka bahta dariya kyon ye kahta hai dam-e-baz-pasin kuchh bhi nahin mit gaya jism hui ruh bhi rukhsat kab ki ab yahan koi makan hai na makin kuchh bhi nahin khud se kis taur sahe shakhs wo duri apni hai ba-juz apne 'amar' jis ke qarin kuchh bhi nahin