jab piyara gila sunata hai ishq taza badan mein aata hai hosh jata hai sar sun sab yak bar jab ghunghat khol mukh dikhata hai tab adu dekh kar mujhe mera mar ke misl pech khata hai khak hota hai balki jal us waqt mujh ko khalwat mein jab bulata hai mujh ko le ja pyas apas ghar mein baada-e-wasl phir pilata hai kar majazi mein fan haqiqat ka hasidan ke dilan jalata hai sher tera ajab 'alimullah' shoala-e-ishq ko chatata hai