jab qafas mein mujh ko yaad-e-ashiyan aa jae hai samne aankhon ke ek bijli si lahra jae hai dil mera wo khana-e-viran hai jal bujhne pe bhi rakh se jis ki dhuan ta-der uthta jae hai tum to thukra kar guzar jao tumhein tokega kaun main pada hun rah mein to kya tumhaara jae hai chashm-e-tar hai is taraf aur us tarf abr-e-bahaar dekhna hai aaj kis se kitna roya jae hai main to bas ye jaanta hun is ko hona hai kharab kya khabar us ki mujhe dil aae hai ya jae hai mera pindar-e-khudai us ghadi dekhe koi jab mujhe banda tera kah kar pukara jae hai ab wo kya aaenge tum bhi aankh jhapka lo 'niyaz' subh ka tara bhi ab to jhilmilata jae hai