jab raushni na pa sake mehr-o-qamar se hum

jab raushni na pa sake mehr-o-qamar se hum
khud be-niyaz ho gae sham-o-sahar se hum

is imtihan mein bhi hai tera karam sharik
hans kar guzar rahe hain rah-e-pur-khatar se hum

duniya ko hum dikhaenge mear-e-bandagi
qismat bana ke utthenge ab tere dar se hum

jis ki nawazishon pe hai mauquf zindagi
kya hoga gir gae agar us ki nazar se hum

zinda hain to banega isi ja phir aashiyan
darte nahin hain fitna-e-barq-o-sharar se hum

duniya se dur ho ke pata us ka pa gae
warna the apne aap se bhi be-khabar se hum

allah rakkhe khanda-e-diwangi se dur
hain aashna maal-e-gham-e-mo'atabar se hum

'kashfi' bana diya use aaina-e-bahaar
guzre kisi ki yaad mein jis rahguzar se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close