jab sajile khiram karte hain har taraf qatl-e-am karte hain mukh dikha chhab bana libas sanwar aashiqon ko ghulam karte hain ye chakore mil us sirijan sun raat din apna kaam karte hain yar ko aashiqan-e-sahab-fan ek dekhe mein ram karte hain gardish-e-chashm sun sirijan sab bazm mein kar-e-jam karte hain ye nahin nek taur khuban ke aashnai ko aam karte hain ji ko karte hain aashiqan taslim jab wo hans kar salam karte hain murgh-e-dil ke shikar karne kun zulf o kakul ko dam karte hain shokh mera butan mein jab jawe us ko apna imam karte hain khub-ru aashna hain 'faez' ke mil sabi ram ram karte hain