jab sar-e-baam wo KHurshid-jamal aata hai

jab sar-e-baam wo khurshid-jamal aata hai
zarre zarre pe qayamat ka jalal aata hai

phul muskate hain lahraati hai tahni tahni
fasl-e-gul aate hi har shai pe jamal aata hai

wo janam-din pe bulate hain hamesha mujh ko
har naya sal ba-andaz-e-visal aata hai

kyun tere hont mujhe dete hain manfi mein jawab
mere honton pe ye rah rah ke sawal aata hai

jab sawali koi aa jata hai dar par to mujhe
us ki bakhshi hui neamat ka khayal aata hai

un ke khilte hue joban ko wo murjha na saka
aane ko daur-e-khizan sal-ba-sal aata hai

mujhe jachti hi nahin aur kisi ki surat
jab khayal aata hai tera hi khayal aata hai

tare ginwati hain phir hijr ki kali raaten
jab mujhe yaad koi zohra-jamal aata hai

yun rukh-e-zard chamak uthta hai aane pe tere
jaise holi mein koi mal ke gulal aata hai

apne hathon ke pale log jo ho jaen khilaf
un ke akhlaq pe ai 'charkh' malal aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close