jab se dilbar ne aankh phera hai

jab se dilbar ne aankh phera hai
mujh ko dauran-e-sar ne ghera hai

kucha-e-zulf nit andhera hai
wahan siyah-bakht dil ka dera hai

wajd mein hain diwane abr ko dekh
laila-e-fasl-e-gul ka dera hai

yakka aazad hai do aalam se
jo ki be-dam tera chira hai

gal par hai kisi ke kat ka naqsh
munh pe zulfen tabhi bikhera hai

nit bake hai ki baola 'uzlat'
ye na bola kabhu ki mera hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close