mat ghusse ke shoale sun jalte kun jalati ja tuk mehr ke pani sun tu aag bujhati ja tujh chaal ki qimat sun dil nin hai mera waqif ai man bhari chanchal tuk bhaw batati ja is raat andhaari mein mat bhul padun tujh sun tuk panw ke jhanjhar ki jhankar sunati ja mujh dil ke kabutar kun bandha hai teri lat ne ye kaam dharam ka hai tuk us ko chhudati ja tujh mukh ki parastish mein gai umr meri sari ai but ki pujan-haari tuk us ko pujati ja tujh ishq mein jal jal kar sab tan kun kiya kajal ye raushni afza hai ankhiya ko lagati ja tujh neh mein dil jal jal jogi ki liya surat yak bar use mohan chhati sun lagati ja tujh ghar ki taraf sundar aata hai 'wali' daem mushtaq daras ka hai tuk dars dikhati ja