jab se mere bagh mein angur ke dane lage

jab se mere bagh mein angur ke dane lage
mujh ko duniya mein hi jannat ke maze aane lage

mai-kashon ne hi nahin dhunda mere ghar ka pata
shaikh sahab bhi mujhe ab yaad farmane lage

ek surur-o-kaif ka aalam hai tari bin piye
pyale sade pani ke bhi mai ke paimane lage

jagmaga utthe hain atraf-o-jawanib mein diye
sham-e-mahfil ki pazirai mein parwane lage

mah-rukhon ki bazm mein shirkat nazar aane lagi
aur tasawwur mein dhanak ke rang lahrane lage

taeron ki chahchahahat se hua yun dil gudaz
mere ham-mashrab mujhe naghmon pe uksane lage

hum pe ek mashur-kun si kaifiyat tari hui
aur hum is kaifiyat mein jhum kar gane lage

is tilism-e-rang-o-bu ke sehr se nikle hain jab
hum ko aksar din mein bhi tare nazar aane lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close