jab taaruf se be-niyaz tha main koi zahid na 'sarfaraaz' tha main jab hua aashkar tab jaana apne bare mein koi raaz tha main ab to sanson mein bhi nahin tartib pahle waqton mein nai-nawaz tha main ai meri intiha-e-barbaadi kis qadar mubtala-e-naz tha main sab ko qudarat thi khush-kalami par khamushi mein zaban-daraaz tha main bhul jata hai ab duaon mein pahle jis ke liye namaz tha main