jab tak apne dil mein un ka gham raha hasraton ka raat din matam raha hijr mein dil ka na tha sathi koi dard uth uth kar sharik-e-gham raha kar ke dafn apne parae chal diye bekasi ka qabr par matam raha saikdon sar tan se kar dale juda un ke khanjar ka wahi dam-kham raha aaj ek shor-e-qayamat tha bapa tere kushto ka ajab aalam raha hasraten mil mil ke rotin yas se yun dil-e-marhum ka matam raha le gaya ta ku-e-yar 'ahsan' wahi muddai kab doston se kam raha