jab tak dar-e-aiwan jalaya nahin jata

jab tak dar-e-aiwan jalaya nahin jata
tab tak kisi hakim ko jagaya nahin jata

zalim ke sitam se ho agar khalq-e-khuda tang
duniya use kya mar giraya nahin jata

piran-e-ajam kijiye tadbir abhi aap
dil se to mere karb ka saya nahin jata

maqdur agar ho to wo pahunchana suhulat
jamhur ko ungli pe nachaya nahin jata

haalat badal sakte hain karwat kisi lamhe
ho jang to ghode ko sadhaya nahin jata

'adil' jo kamaya hua hai dagh-e-mohabbat
ye dagh zamane ko dikhaya nahin jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close