jab us se tark-e-mulaqat ka irada kiya

jab us se tark-e-mulaqat ka irada kiya
tab us ne daman-e-dil ko zara kushada kiya

bas ek nigah se us ki sada rahe makhmur
kabhi na jam uthaya na shaghl-e-baada kiya

fareb de ke bhi us ka qusur kam hi raha
ki hum ne us pe bharosa bhi kuchh ziyaada kiya

sharafat aur najabat ka is ko gharra hai
hasab nasab se siwa zikr-e-khanwada kiya

jahan-e-sher-o-adab mein hamara zikr bhi hai
ki hum ne 'mir' se 'ghaalib' se istifada kiya

meri ghayur tabiat pe us ko hairat hai
ki arz-e-shauq ka us se na phir iada kiya

ye aur baat ki nakaamiyan muqaddar thin
'habab' jo bhi kiya hum ne bil-irada kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close