jab usko soch ke dekha to ye kamal hua

jab us ko soch ke dekha to ye kamal hua
meri lughat ka har ek lafz be-misal hua

wo shahr-e-khwab se guzra to dafatan mujh ko
haqiqaton ke badalne ka ehtimal hua

numud-e-zat ko pahle hi raushni kam thi
badhe jo sae to kuchh aur bhi malal hua

thama na girne sambhalne ka silsila yun hi
main apni khak se uttha to la-zawal hua

ye moajiza hi bahut hai ki paikar-e-fan ke
jo koi rabt mein aaya wo ham-khayal hua

hum apni sada-mizaji mein sab se puchhte hain
hamare jaisa bhi aakhir kisi ka haal hua

hamin the us ke jawabon ke muntazir 'rahat'
so bar bar hamin se koi sawal hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close