jab zabanon mein yahan sone ke tale paD gae

jab zabanon mein yahan sone ke tale pad gae
dudhiya chehre the jitne wo bhi kale pad gae

dubne se pahle suraj ke nikal aata hai chand
hath dho kar sham ke pichhe ujale pad gae

bulbule pani pe mat samjho hawaen qaid hain
sans lene ke liye maujon ko lale pad gae

jab se us par ek chullu pyas ke shoale gire
tab se sare jism mein dariya ke chhaale pad gae

kya bata paengi wo manzar ka pas-e-manzar hamein
khud-numai kar ke jin aankhon mein jale pad gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close