jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de ki zauq-e-zindagi mahdud sang-e-astan tak hai nawed-e-rustagari par abas dil-shad hota hai abhi sad dam ai bulbul-e-qafas se aashiyan tak hai ye ehsas-e-talluq mujh ko mitne bhi nahin deta ki teri dastan ka rabt meri dastan tak hai tarana chhed wo mutrib ki ruh-e-ishq chaunk utthe kharosh-e-nala-e-gham kya jo soz-e-jism-o-jaan tak hai sarapa aarzu ban kar kamal-e-muddaa ho ja wo nang-e-ishq hai jo aarzu aah-o-fughan tak hai zamana chahiye takmil-e-zauq-e-lazzat-e-gham ko abhi duniya-e-dil mahdud zikr-e-in-o-an tak hai bayaban-e-mohabbat ki nawazish puchhna kya hai ummid-o-bim ki haalat faqat sud-o-ziyan tak hai kahan se laegi duniya hamari himmaten 'asi' mohabbat mein qadam apna faqat kaun-o-makan tak hai