jadu-tona jaanta hai ghaeb hona jaanta hai dost hai wo gahra lekin dushman hona jaanta hai teri aahat ko us ghar ka kona kona jaanta hai rishton ki turpai karna sina pirona jaanta hai bachchon ko wo hire-moti chandi-sona jaanta hai pap nahin hai jis ke dil mein chain se sona jaanta hai apne matlab ki khatir wo sab kuchh hona jaanta hai hansna aa jata hai us ko jo bhi rona jaanta hai