jahan-e-fikr pe chamkega jab sitara mera hunar zamane pe tab hoga aashkara mera abhi se mat mere kirdar ko mara hua jaan tere fasane mein zikr aaega dobara mera tujhe darahim-o-dinar ki shahi zeba main mutmain hun ki lafzon pe hai ijara mera ye ishtiyaq meri dastaras wahan tak ho ye intizar wo kis waqt hoga sara mera rumuz-e-ishq se kab hogi aashnai teri mere nadim tu samjhega kab ishaara mera zamin-e-qibla-e-awwal tujhe khuda rakhe ki dil hua hai tere gham mein para para mera