jahan se aa gae hain us jahan ki yaad aati hai ki hum uryan-saron ko saeban ki yaad aati hai jahan-e-mahfil-e-shab mein sabhi aankhen bhigote hain sabhi ko apne apne raftagan ki yaad aati hai wahan jab tak rahe tab tak yahan ki fikr rahti thi yahan jab aa gae hain to wahan ki yaad aati hai ye shahr-e-ajnabi mein ab kise ja kar bataen hum kahan ke rahne wale hain kahan ki yaad aati hai