jahan walon se barti is qadar be-gangi main ne ki barham kar liya apna nizam-e-zindagi main ne sikhae husn-e-kafir ko saliqe khud-numai ke sanwara pai-ba-pai apna mazaq-e-ashiqi main ne hue raushan na phir bhi baam-o-dar fikr-o-tasawwur ke hazaron bar ki bazm-e-jahan mein raushni main ne dil-e-na-aqibat-andesh ki kotah-bini ki kabhi taid ki main ne kabhi tardid ki main ne hazaron bar tahzib-o-tamaddun ki faza badli hazaron bar ek duniya nai aabaad ki main ne kya ifsha na raaz-e-gham kisi par jite-ji 'farigh' bade sabr-o-tahammul se basar ki zindagi main ne