jal mein jis ke shauq aai hai us ke dil kun tadaph kamahi hai jag ke khuban hain tujh pe sab maftun tan mein yusuf bhi ek chahi hai dagh sin kyun na dil ujala ho chashm ki raushni siyahi hai ab talak khinch khinch jaur-o-jafa har tarah dosti nibahi hai taur kya puchhte ho kafir ka shokh hai bankha hai sipahi hai hath mein kahruba ki simran dekh rang aashiq ka aaj kahi hai haal aashiq ka kya bayan kije khwar hai khasta hai tabahi hai 'abru' kyun na ho rahe khamosh dard kahne ki yan manahi hai