jal raha hun to ajab rang o saman hai mera

jal raha hun to ajab rang o saman hai mera
aasman jis ko samajhte ho dhuan hai mera

le gai bandh ke wahshat use sahra ki taraf
ek dil hi to tha ab wo bhi kahan hai mera

dekh le tu bhi ki ye aakhiri manzar hai mera
jis ko kahte hain shafaq rang-e-ziyan hai mera

apna hi zor-e-tanaffus na mita de mujh ko
in dinon zad pe meri khema-e-jaan hai mera

zarra-e-khak bhi hota hai kabhi bar-e-giran
kabhi lagta hai ki ye sara jahan hai mera

ab ufuq-ta-ba-ufuq mein hun har aaine mein
jaise har samt o jihat aks-e-rawan hai mera

ruk gaya aa ke jahan qafila-e-rang-o-nashat
kuchh qadam aage zara badh ke makan hai mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close