jale hain dil na charaghon ne raushni ki hai

jale hain dil na charaghon ne raushni ki hai
wo shab-paraston ne mahfil mein tirgi ki hai

hadis-e-zulm-o-sitam hai hanuz na-gufta
hanuz mohr zabanon pe khamushi ki hai

us ek jam ne saqi ki jo ata thahra
sukun diya hai na kuchh dard mein kami ki hai

hamein ye naz na kyun ho ki nai-nawaz hain hum
hamare honton ne ijad naghmagi ki hai

chaman mein sirf hamin raazdan hain kanton ke
gulon ke sath basar hum ne zindagi ki hai

firaq-e-yar ne bakhshi hai wasl ki lazzat
khayal-e-yar ne zulmat mein raushni ki hai

hain jis ki did se mahrum aaj tak 'khawar'
usi ki hum ne tasawwur mein bandagi ki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close