jalta hun hijr-e-shahid o yaad-e-sharab mein

jalta hun hijr-e-shahid o yaad-e-sharab mein
shauq-e-sawab ne mujhe dala azab mein

kahte hain tum ko hosh nahin iztirab mein
sare gile tamam hue ek jawab mein

phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surkh se
dil ko ghazab fishaar hua pech-o-tab mein

chin-e-jabin ko dekh ke dil basta-tar hua
kaisi kushud-e-kar kushad-e-naqab mein

hum kuchh to bad the jab na kiya yar ne pasand
ai hasrat is qadar ghalati intikhab mein

rahte hain jama kucha-e-jaanan mein khas o aam
aabaad ek ghar hai jahan-e-kharab mein

aankh us ki phir gai thi dil apna bhi phir gaya
ye aur inqilab hua inqilab mein

badnam mere girya-e-ruswa se ho chuke
ab uzr kya raha nigah-e-be-hijab mein

matlab ki justuju ne ye kya haal kar diya
hasrat bhi ab nahin dil-e-nakaam-yab mein

goya ki ro raha hun raqibon ki jaan ko
aatish zabana-zan hui tufan-e-ab mein

nakaamiyon se kaam raha umr bhar hamein
piri mein yas hai jo hawas thi shabab mein

hai ikhtiyar-e-yar mein sud o ziyan magar
fazil the hum jahan se qaza ke hisab mein

naseh hai aib-ju o dil-azar is qadar
goya sawab hai sukhan-e-na-sawab mein

donon ka ek haal hai ye muddaa ho kash
wo hi khat us ne bhej diya kyun jawab mein

taqdir bhi buri meri taqrir bhi buri
bigde wo pursish-e-sabab-e-ijtinab mein

kya jalwe yaad aae ki apni khabar nahin
be-baada mast hun main shab-e-mahtab mein

hai minnaton ka waqt shikayat rahi rahi
aae to hain manane ko wo par itab mein

teri jafa na ho to hai sab dushmanon se amn
badmast ghair mahw dil aur bakht khwab mein

paiham sujud pa-e-sanam par dam-e-wida
'momin' khuda ko bhul gae iztirab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close