jalte the tum kun dekh ke ghair anjuman mein hum pahunche the raat shama ke ho kar baran mein hum tujh bin jagah sharab ki pite the dam-ba-dam piyale sin gul ke khun jigar ka chaman mein hum late nahin zaban pe aashiq dilon ka bhed karte hain apni jaan ki baaten nayan mein hum marte hain jaan ab to nazar bhar ke dekh lo jite nahin rahenge sajan is yathan mein hum aati hai us ki bu si mujhe yasman mein aaj dekhi thi jo ada ki sajan ke badan mein hum jo kui ki haiga aap kun rakhta hai aap aziz yusuf hain apne dil ke miyan pairahan mein hum kyun kar na howe click hamara guhar-fishan karte hain 'abru' ye takhallus sukhan mein hum