jalwa dikhlae jo wo apni KHud-arai ka

jalwa dikhlae jo wo apni khud-arai ka
nur jal jae abhi chashm-e-tamashai ka

rang har phul mein hai husn-e-khud-arai ka
chaman-e-dahr hai mahzar teri yaktai ka

apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn
bhulta hi nahin aalam teri angdai ka

uf tere husn-e-jahan-soz ki pur-zor kashish
nur sab khench liya chashm-e-tamashai ka

dekh kar nazm-e-do-alam hamein kahna hi pada
ye saliqa hai kase anjuman-arai ka

kal jo gulzar mein hain gosh-bar-awaz 'aziz'
mujh se bulbul ne liya tarz ye shewai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close