janaza dhum se us aashiq-e-jaan-baz ka nikle

janaza dhum se us aashiq-e-jaan-baz ka nikle
tamashe ko ajab kya wo but-e-dam-baz aa nikle

agar diwana tera jaanib-e-kohsar ja nikle
qubur-e-wamiq-o-majnun se shor-e-marhaba nikle

abhi tifli hi mein wo but namuna hai qayamat ka
jawani mein nahin malum kya nam-e-khuda nikle

kahan wo sard-mehri thi kahan ye garm-joshi hai
ajab kya is karam mein bhi koi tarz-e-jafa nikle

mera afsana hai majzub ki bad gar koi dhunde
na zahir ho khabar us ki na us ka mubtada nikle

wo mere lashe par bole nazar yun pher kar mujh se
chale huron se tum milne nihayat bewafa nikle

hamara dil hamari aankh donon un ke maskan hain
kabhi us ghar mein ja dhamke kabhi is ghar mein aa nikle

pada kis kashmakash mein yar ke ghar raat main ja kar
na uth kar muddai jae na mera muddaa nikle

tadapta hun bujha de pyas meri aab-e-khanjar se
ki mere dil se ai qatil tere haq mein dua nikle

dikha kar zahr ki shishi kaha 'ranjur' se us ne
ajab kya teri bimari ki ye hakmi dawa nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close