jangalon mein justuju-e-qais-e-sahrai karun kab talak dhundun kahan tak jada-paimai karun gar koi mane na ho wan sajda karne ka mujhe aastan-e-yar par barson jabin-sai karun bazm-e-hasti mein nahin juz bekasi apna rafiq kis ki khatir dosto main mahfil-arai karun ghaarat-e-dil ka jo karta hai irada tark-e-chashm ghamza kahta hai main taraj shakebai karun le gae jab tere diwane ko isa ne kaha har ghadi main kya ilaj-e-mard-e-saudai karun aashna koi nazar aata nahin yan ai 'hawas' kis ko main apna anis-e-kunj-e-tanhai karun