jaras-e-dil ki sada ban ke chale tu agar rah-numa ban ke chale mor-e-be-maya ki raftar chalun tu agar aabla-pa ban ke chale aarzu hai ki banun main dariya aur tu mujh pe hawa ban ke chale aise gulshan mein guzarun koi shab tu jahan baad-e-saba ban ke chale main rahun dasht mein ja kar aur tu chandni-shab mein bala ban ke chale aql-o-danish tere qadmon pe nisar tu agar hosh-ruba ban ke chale