jasarat ke rahte bhi KHamosh hona

jasarat ke rahte bhi khamosh hona
hai is ke siwa kya sitam-posh hona

pareshan nahin tohmaton se main lekin
giran hai tumhaara ye khamosh hona

mohabbat mein ilzam lagne do yaro
wafa mein hai jaez khata-posh hona

wahi ek qad-awar jo tashhir mein tha
pur-asrar hai us ka ru-posh hona

meri chahaton ko hawa de gaya hai
un aankhon ka wada-faramosh hona

palak tak kabhi ek qatra na pahuncha
hai aankhon ki qismat bala-nosh hona

sitam hai bala hai qayamat hai goya
bichhadne se pahle ham-aghosh hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close