jate kahan junun ke tufan mein aa gae

jate kahan junun ke tufan mein aa gae
aakhir ko chaaragar mere zindan mein aa gae

wo shor-o-ghul wo shahr ka tufan-e-zindagi
achchhe rahe wahi jo bayaban mein aa gae

wo un ki sair-e-bagh wo zauq-e-bahaar-e-naz
phul aap tut tut ke daman mein aa gae

us gul ki aarzu mein khalish is qadar hai kyun
kante kahan se hasrat-o-arman mein aa gae

jo ghar bachche-bachae the tufan-e-ah se
wo intizam-e-dida-e-giriyan mein aa gae

shayan tumhaari shan ke ye zindagi nahin
tum kyun hamare khwab-e-pareshan mein aa gae

hai ahl-e-bazm ye bhi ek andaz-e-naz-e-husn
aansu kahan se sham-e-farozan mein aa gae

'shakir' nahin hai rabt jinhen sabr o shukr se
haiwan hai wo jo surat-e-insan mein aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close