kabhi sahar to kabhi sham hona chahta hun

kabhi sahar to kabhi sham hona chahta hun
kabhi piyala kabhi jam hona chahta hun

nahin mile the to shohrat ki bhuk jagi thi
jo mil gae ho to gumnam hona chahta hun

ubhar rahe hain teri chahaton ke bagh-o-bahaar
main chupke chupke dil-aram hona chahta hun

sunahri yaaden hi palti rahin jis aangan mein
main us mahal ke dar-o-baam hona chahta hun

main apne khud ke banae hue usulon mein
kabhi main kirshn kabhi ram hona chahta hun

tere fasane ki har khushnuma ibarat mein
kahin pe qaf kahin lam hona chahta hun

mere khuda mujhe ab husn ki bashaarat de
main us ke shahr pe ilham hona chahta hun

udasiyon ne likha hai jo chehre chehre pe
fasurdagi ka wo paigham hona chahta hun

qadam qadam pe yahan karbalaen phaili hain
main waqt-e-asr ka hangam hona chahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close