jaun kya munh le ke main wo bad-guman ho jaega

jaun kya munh le ke main wo bad-guman ho jaega
rang ke udne se ishq us par ayan ho jaega

aish-e-bazm-e-be-khudi josh-e-fughan ho jaega
hum kahan honge jo raaz-e-gham ayan ho jaega

dusra aalam bane to ho sake taskin-e-husn
ab hai jitna ye to sarf-e-imtihan ho jaega

ta-ajal pahunchaegi ye na-tawani hijr mein
zoaf badhte badhte zor-e-na-tawan ho jaega

meri khamoshi ko zalim jor-e-be-ja se na chhed
warna zabt-e-dil teri zid se fughan ho jaega

shauq se ghairon mein jae main na hunga bad-guman
khu-e-bad se khud wo apna pasban ho jaega

dil-nashin hai aalam-e-zauq-e-asiri ka khayal
ab dil-e-sayyaad apna aashiyan ho jaega

gham se mere ghar mein gunjaish nahin hai aish ki
naghma-khwan bhi aaega to nauha-khwan ho jaega

mausam-e-baran mein kyun hai dasht ka qasd ai junun
aaj-kal to dasht apna hi makan ho jaega

khubi-e-guftar se samjhega kaun us ka jawab
hashr sara mahw-e-andaz-e-bayan ho jaega

kya yaqin tha hum jo pahunchenge wahan ai josh-e-ashk
wahm apna badh ke us ka pasban ho jaega

kah sakega kuchh bhi ai 'raghib' na us khamosh se
be-dahan ke samne tu be-zaban ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close