jawani yaad hum ko apni phir be-iKHtiyar aai

jawani yaad hum ko apni phir be-ikhtiyar aai
hua diwanon mein jab ghul bahaar aai bahaar aai

hua tha marg se ghafil main kis din josh-e-wahshat mein
saba kyun le ke mere samne musht-e-ghubar aai

dikhae ranj piri ke ajal tere taghaful ne
tujhe aana tha pahle aah tu anjam kar aai

hamare tausan-e-umr-e-rawan ke tez karne ko
shamim-e-zulf dosh-e-baad-e-sarsar par sawar aai

na paya waqt ai zahid koi main ne ibaadat ka
shab-e-hijran hui aakhir to subh-e-intizar aai

na kuchh khatra khizan ka hai na ehsan-e-bahaar us par
adam se apni shakh-e-arzu be-barg-o-bar aai

hamari dekhiyo ghaflat na samjhe wae nadani
hamein do din ke bahlane ko umr-e-be-madar aai

jo nang-e-ishq hain wo bul-hawas fariyaad karte hain
lab-e-zakhm-e-'hawas' se kab sada-e-zinhaar aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close