jazire hon ki wo sahra hon KHwab hona hai

jazire hon ki wo sahra hon khwab hona hai
samundaron ko kisi din sarab hona hai

sawal puchhne walo tumhein bhi aakhir-e-kar
rahin-e-minnat-e-bar-e-jawab hona hai

khandar mein baith ke rone ki khu nahin jati
tumhaari aankh pe shayad azab hona hai

wo zulmaten jo ujalon ke ghar mein rahti hain
unhen bhi misl-e-sahr be-naqab hona hai

wo din jo nili kitabon mein band hai us ko
abhi to mere liye be-hijab hona hai

abhi to khwahish-e-be-dast-o-pa salamat hai
abhi kuchh aur ye khana-kharab hona hai

ye shakh shakh parinde pukarte hain 'matin'
hamein to shakh se gir kar gulab hona hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close