jazire ki tarah meri nishani kis liye hai

jazire ki tarah meri nishani kis liye hai
mere chaaron taraf pani hi pani kis liye hai

main aksar sochta hun dil ki gahrai mein ja kar
zamin par ek chadar aasmani kis liye hai

ba-zahir pur-sukun aur dil ki har ek rag salamat
to zer-e-sath-e-dariya ek rawani kis liye hai

main tuta hun to apni kirchiyan bhi jod lunga
bikharne par mere ye shadmani kis liye hai

ye dil be-hausla dil mere kahne mein nahin jab
to apne dil ki main ne baat mani kis liye hai

karen lahje badal kar guftugu ek dusre se
hamare darmiyan ye be-zabani kis liye hai

sabhi kirdar apna kaam pura kar chuke hain
to aakhir na-mukammal ye kahani kis liye hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close