jhut sachchai ka hissa ho gaya ek tarah se ye bhi achchha ho gaya us ne ek jadu bhari taqrir ki qaum ka nuqsan pura ho gaya shahr mein do-chaar kambal bant kar wo samajhta hai masiha ho gaya ye teri aawaz nam kyun ho gai gham-zada main tha tujhe kya ho gaya bewafai aa gai chaupal tak ganw lekin shahr jaisa ho gaya sach bahut sajta tha meri zat par aaj ye kapda bhi chhota ho gaya